Yakeen ( Hindi Poem )

Ek ajeeb sa jaadu hai iss ghata mein,

Ya fir yeh ehsaas pheli baar kiya hai.
Kuch kaabiliyat zarur hai mujhmein,


Ya iss baat ka vishwaas aaj hua hai.
Kaun hun mein kiski mujhe talaash,


Lekin ab nahi hai koi adhuuri aas.
Ek kahani khatam toh dursi shuru karenge,


Apne hi damm aur yogyata se naya itihaas rachenge.
Aansu ab na fir aise bahenge,


Ab na yuhi harr zakhm sahenge.
Hoye woh koi bhi lekin yeh jeewan tumhara hai,


Aakhir har shaks iss dharti par aaya aur gaya akela hai.
Hai mujh mein bhi dumm ye toh zarur batayungi,


Ab toh mein apni duniya khud hi sajaayungi.
Haan huii hai kaii galatiyan,


Aur turi hai kitni yaariyan.
Parr ab mein khud ki pehchaan bnayungi,


Apni hawsale se sab ko chup karwayungi.
Toh jaago bta do tumhe hai woh baat,

Koi maane ya na maane lekin tum ho "KHAAS".

Hope you guys enjoyed another poem. Lemme just tell you I don't really write a lot of Hindi stuff but I do enjoy reading them more. But I'll try to be more convincing next time till then read my other blogs, and follow me on other Social Media links in the sidebar. So I will see you guys soon, till den...!


Bubiee!

Comments