Agarr...(Hindi Poem)

A Poem By : Astha Benevolent

Agarr khwaab mill gye hote humaare,
Toh samajhte tum maine kya socha hai.
Do pal meri baat sunn paate agarr tum,
Toh samjh pate maine kya dekha hai.
Din dhale jaa rha hai aur tum saath nahi ho,
Aur ek mein hun jo tumhaare liye hi jee rha hun.
Chup ho gya hun kyunki abb bolne ki chaah nahi hai,
Khushi se bhaari baatein ab yaad rehti nahi hai.
Manzil toh dhundh mein kahin ghum si ho gyi hai,
Sapno ki chaadar na jaane kahan khoo gayi hai.
Agarr meri icchayein samajh paate,
Toh jaan paate mein kya kar sakta hun.
Iss andheere safarr mein agar chingaari bhi jhalate,
Tab samajh paate mein kahan pahunch chuka hun.
Dukh toh kaii the magar ab bhaar samajh aata hai,
Ek baar firr bachpan jeene ko mann chahata hai.
Paed ki tarah badh toh raha hun tezzi se,
Lekin yakeen hai katt jayunga ek din kisi kulhaadi se.
Agar pakda hota samay par haath mera,
Toh samjh paate mein kaise chalta hun.
Mere sapno ko apne se aage rakh paate,
Tab jaan paate mein kya chahata hun.
Sochte ho ismein bhala hai mera,
Lekin lagta nahi mann jab dil ho akela.
Nahi hai shamta mujhmein itnii,
Aakhir kab tak sunn sakunga baatein kitni.
Kab maanoge naa jaane kaise,
Apne bal pe aur bhi bada banuga jaise taise.
Ek panchi ki tarah udaan bharne ka mauka toh do,
Aage nikal jayunga uss manzil se bhi toh tumne sochi ho.
Agarr mere mann ke rang bharne dete,
Toh jaan paate mein kya banaa sakta hun.
Mujhe inn bhojho se mukt kar sakte,
Tab samajh paate mein kahan pahunch sakta hun.

Follow Me on Social Media:
Twitter : @Astha_BenevolenInstagram : @astha_benevolentYoutube : Astha Benevolent
Until Next Time...

GoodBye!


Comments